Waliullah Muhib

nahin duniya mein siwa Khaar-o-KHas-e-kucha-e-dost

Waliullah Muhib

nahīñ duniyā meñ sivā ḳhār-o-ḳhas-e-kūcha-e-dost
sar-e-shorīda kī ḳhvāhish ba-kulāhe gaahe
ḳhūn-e-ushshāq kā da.avā mire qātil tujh par
hote isbāt na dekhā ba-gavāhe gaahe
hai bahār aane kī kuchh dhuum ki aage to na thā
dil-e-dīvāna ba-īñ hāl-e-tabāhe gaahe
rahte kis shohre meñ ho tum se to milnā pyāre
ittifāqiya hai ba.ad az do sah maahe gaahe
ham tamāzat meñ tire hukm se leñ haiñ saaqī
sāya-e-tāk meñ yak-lahza panāhe gaahe
ham gadāoñ ko hai taslīm-o-razā se sarokār
multajī haiñ na ze-mun.im ne ze-shāhe gaahe
be-zabāñ kulah-e-sabzī kī jagah ai nau-ḳhat
na ugā ḳhaak se merī par-e-kāhe gaahe
ai 'muhib' jurm-e-mohabbat ke sivā aalam meñ
qatl-e-āshiq hī sunā hai ba-gunāhe gaahe
Top Urdushayar.com