Waliullah Muhib

dekhta kuchh hun dhyan mein kuchh hai

Waliullah Muhib

dekhtā kuchh huuñ dhyān meñ kuchh hai
hai yaqīñ kuchh gumān meñ kuchh hai
sanam apne ko ham ḳhudā jo kaheñ
kab qusūr us kī shaan meñ kuchh hai
kuchh na dekhā kisī makān meñ ham
kahte haiñ lā-makān meñ kuchh hai
tishna-e-ḳhūñ haiñ la.al-e-lab tere
surḳhī-e-rañg-e-pān meñ kuchh hai
tere dīdār kī havas ke sivā
dekh to merī jaan meñ kuchh hai
tū jo talvār khīñche hai mujh par
zaḳhm bhī darmiyān meñ kuchh hai
dekh to ab jafā-kashī kī taab
mujh dil-e-nā-tavān meñ kuchh hai
dekh kar mujh ko naza.a meñ tū ne
na kahā is javān meñ kuchh hai
ham ko paTkā zamīn ke uupar
gardish-e-āsmān meñ kuchh hai
fā.eda tujh ko ai za-ḳhud ġhāfil
fikr-e-sūd-o-ziyān meñ kuchh hai
ye zamāna 'muhib' ba-qaul 'dard'
aan meñ kuchh hai aan meñ kuchh hai
Top Urdushayar.com