shab na ye sardī se yaḳh-basta zamīñ har tarf hai
mah pukāre hai falak-parvardagī to barf hai
shāh-e-gul kā hukm sayyāroñ ke ye hai baaġh meñ
jo na pī kar aa.e mai naukar nahīñ bartarf hai
surḳh hai rūmāl-e-shālī us ke tahatul-jañg tak
mus.haf ruḳhsār par yā jadval-e-shañgarf hai
nau-ḳhatoñ ke dil meñ juz mashq-e-sitam tarz-e-vafā
yaksar-e-mū ho sake kursī-nashīñ kyā harf hai
dars-e-ilm-e-ishq se vāqif nahīñ mutlaq faqīh
nahv hī meñ mahv hai yā sarf hī meñ sarf hai
mū se hai bārīk sher-o-shā.erī ke darmiyāñ
ma.anī-e-misrā-e-qāmat kyā qayāmat zarf hai
zāhid-e-ḳhushk-o-ḳhunuk se kab ho sohbat un kī garm
ātish-e-tar se 'muhib' jin kā labālab zarf hai