Waliullah Muhib

us but ne gulabi jo uTha munh se lagai

Waliullah Muhib

us but ne gulābī jo uThā muñh se lagā.ī
shīshe meñ ajab aan se jhamke thī ḳhudā.ī
aalam meñ nashe ke shab-e-mahtāb ne tere
ḳhurshīd se mukhḌe ne tilismāt dikhā.ī
go ġhair se milne kī qasam khāte ho pyāre
chhuptī nahīñ vo baat jo ho dil se banā.ī
vallāh hameñ ishq kī sab bhuul huī chaal
kāfir tirī raftār ne phir yaad dilā.ī
har dam to bharā shīsha jhukātā hai nashe meñ
Dartā huuñ ki terī na muḌak jaa.e kalā.ī
ā.īna numū-posh huā ishq meñ tere
chaar abaruoñ kī le ke faqīrāna safā.ī
ham jhuuT kaheñ to na ho dīdār ḳhudā kā
hai roz-e-qayāmat tirī ik shab kī judā.ī
āshiq ko 'muhib' saltanat-e-har-do-jahāñ hai
gar yaar ke kūche kī mayassar ho gadā.ī
Top Urdushayar.com