Waliullah Muhib

jo mariz ishq ke hain un ko shifa hai ki nahin

Waliullah Muhib

jo marīz ishq ke haiñ un ko shifā hai ki nahīñ
ai tabīb un kī bhī duniyā meñ davā hai ki nahīñ
ḳhūb-rū jitne haiñ aalam meñ jafākār haiñ sab
yaad kyā jāneñ unheñ taur-e-vafā hai ki nahīñ
tañg itnā hai zamāna ki chaman meñ gul tak
sub.h-dam chāk-garebāñ hī sabā hai ki nahīñ
mirī be-tābī ke ahvāl ko shab ke us se
nāma-bar tū ne zabānī bhī kahā hai ki nahīñ
zulm hai ye to ki dil lījiye aur rahiye ḳhafā
kahīñ insāf zamāne meñ rahā hai ki nahīñ
shaiḳh kahte haiñ mujhe dair na jā ka.aba chal
barhaman kahte haiñ kyuuñ yaañ bhī ḳhudā hai ki nahīñ
apne yāroñ meñ koī jā ke adam se na phirā
kyuuñ 'muhib' un kī ḳhabar laanī bajā hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com