mire dil meñ hijr ke baab haiñ tujhe ab talak vahī naaz hai
jo ye jī hī lene pe hai nazar to qubūl ho ye namāz hai
yahī khoj lene ke vāste phirūñ huuñ maiñ saath nasīm ke
ki chaman meñ koī hai gul kahīñ tirī bū se mahram-e-rāz hai
koī aur qissa shurūa kar jo tamām kah sake ham-nafas
ki fasāna zulf-e-siyāh kā shab-e-hijr se bhī darāz hai
huī dil meñ jab se hai shola-zan mirī ātish-e-ishq kī har nafas
jo patañg o sham.a meñ dekhiye na vo soz hai na gudāz hai
ba-ḳhudā ki muddat-e-ishq meñ yahī baat farz hai nāsehā
ki sanam ke naqsh-e-qadam sivā nahīñ sajda-gāh-e-namāz hai
na barābar us ko bhī zāhido gino apne ka.abe kī raah ke
rah-e-ishq meñ jo qadam rakho to bahut nasheb-o-farāz hai
koī shaġhl us se nahīñ bhalā ki 'muhib' ho ishq meñ mubtalā
usī rāh-e-haq kā bane rahnumā yahī ishq agarche majāz hai