Waliullah Muhib

milti hai use gauhar-e-shab-tab ki miras

Waliullah Muhib

miltī hai use gauhar-e-shab-tāb kī mīrās
lī mujh dil-e-sad-pāra ne sīmāb kī mīrās
hasrat se tirī chashm kī nargis ne chaman meñ
paa.ī hai kisī dīda-e-be-ḳhvāb kī mīrās
yaañ jo dil-e-raushan ki vo ḳhālī hai ḳhudī se
pahuñchā.ī falak ne use mahtāb kī mīrās
ik bīḌā-e-pāñ haath se tū apne jo baḳhshe
tuutī ko mile ġhaib se surḳhāb kī mīrās
pasañg haiñ la.al us ke bhī jis sañg ko pahuñche
ik qatra mire ashk ke ḳhūñbāb kī mīrās
ro-ro ke mirī chashm ne is bahr-e-jahāñ se
lī ḳhāna-ḳharābī ke liye aab kī mīrās
ye dard-o-ġham-e-ishq dilā jaan ġhanīmat
pahuñchī tirī hub se tujhe ahbāb kī mīrās
dariyā-e-mohabbat se 'muhib' le hī ke chhoḌī
mujh ashk ne āḳhir dur-e-nāyāb kī mīrās
Top Urdushayar.com