bulbul bajā.e apne tujhe ham-navā se bahs
vāshud meñ gul kī mahz ġhalat hai sabā se bahs
ā.īne ko na chāhiye āshiq ke dil ke saath
bar-aks apnī shakl ke rū-e-safā se bahs
ab to ġhurūr-e-husn hai aisā butāñ tumheñ
mutlaq mahall-e-ḳhauf nahīñ hai ḳhudā se bahs
mab.has se us maqām ke ḳhārij hai daḳhl-e-ġhair
jab āshnā ko aan paḌe āshnā se bahs
bulbul hazār naġhma-sarā ho.e baaġh meñ
kab kar sake hai nāla-e-dil kī sadā se bahs
daanā na us ko samjhiye jo ġhair ḳhāmushī
dil ḳhasta ho falak ke kare āsiyā se bahs
kab sham.a tere husn ke sho.ale ke rū-ba-rū
mahfil meñ kar sake kam-o-besh-e-ziyā se bahs
tausan ne terī nāzukī gulshan meñ ḳhatm kī
aaj āb-o-rañg-e-gul kī havas par havā se bahs
gulshan meñ chaak pairahan-e-gul kiyā 'muhib'
bulbul ne kar ke us but-e-gulgūñ-qabā se bahs