mai-e-gul-gūñ ke jo shīshe meñ parī rahtī hai
chash-mastoñ meñ ajab jalvagarī rahtī hai
hai phañdīt ek vo bāñkā ki laḌe jab tak aañkh
mardumak panja-e-mizhgāñ meñ bharī rahtī hai
baaġh meñ jab vo gul-e-tāza-bahār aatā hai
bū-e-gul phir to havā par hī dharī rahtī hai
naala bulbul hai chaman-zār hai dil dāġhoñ se
aah tā-sub.h nasīm-e-saharī rahtī hai
mohtasib duḳhtar-e-raz ham se jo tū aaj milā.e
bazm-e-mastoñ meñ tirī mo'tabarī rahtī hai
saltanat faqr kī jin ko hī nahīñ pesh-e-nigāh
kauḌī aur ashrafī yaksāñ-nazarī rahtī hai
lab-o-chashm apne haiñ ik ālam-e-ḳhushkī-o-tarī
ishq meñ saltanat-e-bahr-o-bahrī rahtī hai
ashk-bārī se ġham-o-dard kī khetī-bāḌī
lahlahī sī nazar aatī hai harī rahtī hai
rū tirā kuhl basar ho na use to be-vaj.h
chashm meñ aa.ine ke be-basarī rahtī hai
aabrū paatī thī ḳhushkī ba-kamāl istiġhnā
āb-e-dariyā ke na hone meñ tarī rahtī hai
tosha-ḳhāna hai tirā gumbad-e-gardūñ jis meñ
mehr-o-mah se tirī dastār zarī rahtī hai
hai jo aġhyār ke har dam kī tirī āmad-o-shud
jism meñ jaan hamārī safarī rahtī hai
dīn-o-dil bikte haiñ hote haiñ ġham-e-dard ḳharīd
tire kūche meñ lagī ik guzrī rahtī hai
be-nishāñ zaḳhm se us tīr-e-nigah ke dil meñ
dard rahtā hai na paikāñ na sarī rahtī hai
dil ko bhī Dūbtī kyūñkar na nazar aa.e 'muhib'
kashtī-e-chashm to paanī se bharī rahtī hai