ai ham-damāñ bhulāo na tum yād-e-raftagāñ
vāmāñdgāñ ko hai yahī irshād-e-raftagāñ
jo ġhuncha nā-shagufta hī jhaḌ jaa.e shāḳh se
hai is chaman meñ vo dil-e-nāshād-e-raftagāñ
chashm-o-dil-o-jigar ke liye ashk-e-dard-o-dāġh
ham paas hai ye tohfa-e-imdād-e-raftagāñ
is kārvāñ-sarā meñ ye bāñg-e-jaras nahīñ
hai ye sadā-e-nāla-o-faryād-e-raftagāñ
āsīda-o-ravinda se pūchhā bahut 'muhib'
daryāft par na kuchh huī rūdād-e-raftagāñ