tarvār khīñch ham ko dikhāte ho jab na tab
kyā mar rahe javāñ ko satāte ho jab na tab
taqsīr ham se kaun sī aisī huī vuqūa
muñh par jo haath mere dhirāte ho jab na tab
az-bas mizāj ham se tumhārā kashīda hai
āzurda baat meñ hue jaate ho jab na tab
ab to rakhā hai kaaT hamārā ye aap ne
ġhairoñ se mil patañg uḌāte ho jab na tab
ik baat kā hamārī batañgaḌ banāte ho
sau jhuuT sach ko apne chhupāte ho jab na tab
ai vā.izo ye kyā tumheñ bakvās lag ga.ī
merī suno tum apnī hī gaate ho jab na tab
ham dard-e-dil kaheñ to javāb is maze se do
qissa 'muhib' ye kis ko sunāte ho jab na tab