umr guzrī safar ke pahlū meñ
ḳhuub se ḳhūb-tar ke pahlū meñ
saañs letā hai zauq-e-lā-mahdūd
ḳhvāhish-e-bām-o-dar ke pahlū meñ
shar ko kyā samjhe ye ġhabī maḳhlūq
shar kahāñ hai bashar ke pahlū meñ
ḳhush na ho āñ.suoñ kī bārish par
barq hai chashm-e-tar ke pahlū meñ
ab hameñ kyā koī sambhālegā
ham haiñ sailāb zar ke pahlū meñ
farsh par us ne lī jo añgḌā.ī
arsh aayā utar ke pahlū meñ
āfiyat se bhī 'yād' ḳhud ko bachāo
āfiyat hai ḳhatar ke pahlū meñ