sanam ne jab lab-e-gauhar-fashān khol diye
sadaf ke mauj-e-tabassum ne kaan khol diye
tirī nasīm-e-tabassum ne ġhuncha saañ dil ke
jo uqde band the ānān-fān khol diye
sarishk-e-chashm ne kar shahr-e-band-e-dil ko ḳharāb
tamām ishq ke rāz-e-nihān khol diye
ye kis kī kāvish-e-mizhgāñ ne dil se tā-sar-e-chashm
hazār chashma-e-āb-e-ravān khol diye
chaman chaman tire aariz ke rañg-e-hasrat ne
ba-chashm-e-gul mizha-e-ḳhūñ-chakān khol diye
nikālūñ dil se maiñ naale kī kis tarah āvāz
tirī nigah ne ajab surma-dān khol diye
havā-e-ḳhāk-nashīnī ne be-ġhubār 'muhib'
nazar meñ parda-e-haft-āsmān khol diye