maiñ jīte-jī talak rahūñ marhūn aap kā
gar aaj qasd kījiye mujh se milāp kā
maiñ ye samajh ke dauḌūñ huuñ aayā vo shahsavār
khaTkā sunūñ huuñ jab kisī ghoḌe kī Top kā
tum gaao apne raag ko us paas vā.izo
mushtāq jo gadhā ho tumhāre alaap kā
go duḳht-e-raz se milne meñ bad Thahre mohtasib
denā nahīñ dharāne meñ ham us ke baap kā
dukh meñ nahīñ hai koī kisū kā sharīk-e-hāl
yaañ khel mach rahā hai ajab āp-dhāp kā
thapvā.īñ un kī maaTī kī īñTeñ falak ne haif
thā shor jin ke mahloñ meñ table kī thaap kā
aurāq-e-ganjifa kaho asnāf-e-ḳhalq ko
hai shauq un ke dil meñ sadā Tīp-Tāp kā
kis tarah ham se bose kā va.ada kare vo shoḳh
najrī raqīb se hai Darā muñh kī bhaap kā
kiijo 'muhib' nigāh ye chhāpa hai aur hī
ganda kare hai dil ko nagīñ us kī chhāp kā