Waliullah Muhib

raegan auqat kho kar haif khana hai abas

Waliullah Muhib

rā.egāñ auqāt kho kar haif khānā hai abas
ḳhūb-rūyoñ se jahāñ ke dil lagānā hai abas
kārgar hogā tirā afsūñ ye bāvar hai tujhe
us parī par ai dil-e-vahshī divānā hai abas
jiite phir aane kī pahle rakh tavaqqo dil se duur
varna kūche meñ sitam-gāroñ ke jaanā hai abas
ḳhaak ho kar ek sūrat hai gadā-o-shāh kī
gar muāfiq tujh se ai mun.im zamānā hai abas
yaad kis ko rahm jī meñ kab dimāġh-o-dil kahāñ
yaañ na aane kā mire sāhab bahānā hai abas
dil-shikan hai sub.h-dam terā hī gulchīñ baaġh meñ
āshiyāñ ai andalīb us jā banānā hai abas
ai gul-e-ḳhandāñ sabāt-e-umr hai shabnam se kam
yaañ bahār-e-rañg par hañsnā hañsānā hai abas
vaañ phire haiñ tarkash-e-mizhgāñ talāsh-e-said par
yaañ tirā dil tīr-e-hasrat kā nishānā hai abas
aabrū kahte haiñ jis ko hai 'muhib' ik qatra aab
jab Dhalak jaave to phir us kā uThānā hai abas
Top Urdushayar.com