hamārī chaah sāhab jānte haiñ
kahūñ kyā aah sāhab jānte haiñ
jalānā āshiqoñ kā jaan ai jaañ
qayāmat vaah sāhab jānte haiñ
bhalā dene kī zulfoñ meñ diloñ ko
nirālī raah sāhab jānte haiñ
tumhārī mast āñkhoñ se hai be-ḳhud
jise āgāh sāhab jānte haiñ
tumhāre mukhḌe kī zarra jhalak hai
ki jis ko maah sāhab jānte haiñ
milo ham se vagarna phir kisī roz
kabhī nāgāh sāhab jānte haiñ
'muhib' be-tarah kuchh tum se kahegā
vahī tiir aah sāhab jānte haiñ