hai mire pahlū meñ aur mujh ko nazar aatā nahīñ
is parī kā sehr yaaro kuchh kahā jaatā nahīñ
ashk kī bārish meñ dil se ġham nikal aatā nahīñ
ghar se bāhar meñh barasne meñ koī jaatā nahīñ
chāk-e-jeb apne ko maiñ bhī juuñ garebān-e-sahar
nāsehā tā-dāman-e-mahshar tū silvātā nahīñ
sham.a saañ rishte par ulfat ke lagā dete haiñ sar
āshiq aur ma.ashūq sā bhī dūsrā naatā nahīñ
bas-ki tere hijr meñ hai nā-gavārā akl-o-sharb
dil ba-juz ḳhūn-e-jigar ai jaan kuchh khātā nahīñ
maiñ hī tum sab kā banā tīr-e-malāmat kā nishāñ
us but-e-sarkash ko yaaro koī samjhātā nahīñ
vaa.e ye ġhaflat ki dariyā biich qatre kī tarah
aap hī meñ aap ko DhūñDūñ huuñ aur paatā nahīñ
tark-e-ishq us sarv-e-bālā kā kiyā hai jab se dil
ālam-e-bālā se bālā.ī ḳhabar laatā nahīñ
bas-ki hai ham-rañg vāshud se 'muhib' us baaġh meñ
dil ko ġhair-az-ġhuncha-e-tasvīr kuchh bhātā nahīñ