Waliullah Muhib

mohabbat se tariq-e-dosti se chah se mango

Waliullah Muhib

mohabbat se tarīq-e-dostī se chaah se māñgo
mire sāhab kisī se dil jo māñgo raah se māñgo
ga.e farhād-o-qais un kā nazīr ik maiñ jahāñ meñ huuñ
azīzāñ ḳhair baaqī māndgāñ allāh se māñgo
ḳhat us kāfir ne qatl-e-ām kā farmāñ nikālā hai
musalmāno panāh us āfat-e-nāgāh se māñgo
agar hai azm rūm-o-zañg kī tasḳhīr kā baare
kumak tum añkhḌiyoñ apnī kī nādir-shāh se māñgo
numūd ai āshiqo gar ma.arke meñ ishq ke chāho
to māñgo tabl naale se alam-dār aah se māñgo
nazar sab kuchh paḌe uTh jaa.e ġhaflat kā agar parda
jahāñ kī diid kī ruḳhsat dil-e-āgāh se māñgo
milūñ maiñ yaar se phir aap ke dhāḌī hai aur sandal
duā.eñ shaiḳh jī pīroñ kī tum dargāh se māñgo
dimāġh us kā falak par hai abas ḳhajlat-zada hoge
miyāñ dil sunte ho bosa na tum us maah se māñgo
ma.āl-e-kār us kā ḳhaak hai juz ḳhvārī-o-zillat
amaañ ai dosto duniyā meñ hubb-e-jāh se māñgo
sivā ik māl-o-zar ke jān-o-dil hai dīn-o-īmāñ hai
tumheñ jo chāhiye is apne daulat-ḳhvāh se māñgo
liye aur gum kiye lākhoñ hī us ne ye nahīñ hotā
'muhib' dil de ke phir us shoḳh-e-be-parvāh se māñgo
Top Urdushayar.com