ai dil aatā hai chaman meñ vo sharābī tū pahuñch
le ke piyāla gul kā ġhuncha kī gulābī tū pahuñch
bhar ke sāġhar kījiye ḳhālī ġham-e-daurāñ se dil
ab na kar tāḳhīr ai saaqī shitābī tū pahuñch
pahne qāsid jab talak yak-bār sharh-e-ishtiyāq
le kar ai betāb dil kī iztirābī tū pahuñch
ḳhvāhish-e-dil hai ki kiije sair-e-aqlīm-e-junūñ
Tuk madad ko us kī ai ḳhāna-ḳharābī tū pahuñch
jaa.e hai tanhā shab-e-tārīk meñ vo mehr-vash
āh-e-ātish-bār le kar māhtābī tū pahuñch
tā na phir shā.ir likheñ tausīf-e-bālā-e-butāñ
misra.a-e-mauzūn-o-sher-e-intiḳhābī tū pahuñch
jalva-farmā aaj hai taḳht-e-chaman par shāh-e-gul
le kar ai paik-e-sabā chatr-sahābī tū pahuñch
musht-e-ḳhāk apnī ko aalam meñ na zaa.e.a kar aziiz
hind se le tā-najaf ai bū-turābī tū pahuñch
ai 'muhib' ḳhvāhish gazak kī ho jo is mai-ḳhvār ko
hai tirā siina to dūkān-e-kabābī to pahuñch