Mashkoor Husain Yaad

yunhi fareb-e-nazar ki tanab TuTti hai

Mashkoor Husain Yaad

Hisar, Haryana, India

1925-2017
yūñhī fareb-e-nazar kī tanāb TūTtī hai
qadam baḌhā.iye mauj-e-sarāb TūTtī hai
jahāñ chaTaktā hai ġhuncha zamīn-e-ālam par
vahīñ pe tishnagī-e-āftāb TūTtī hai
naqāb uThāo to har shai ko pāoge sālim
ye kā.enāt ba-taur-e-hijāb TūTtī hai
darūn-e-āb sañvarte haiñ sad-harīm guhar
kanār-e-bahr jo mehrāb-e-āb TūTtī hai
mukāshafāt ke TukḌe haiñ zehn ke aurāq
kitāb utartī nahīñ hai kitāb TūTtī hai
bas ek aan meñ khultā hai qufl dariyā kā
bas ek aan meñ qaid-e-hubāb TūTtī hai
haiñ is shikast meñ ḳhalq-e-jadīd ke asrār
haqīqat aaj bhī ham-rāh-e-ḳhvāb TūTtī hai
kamāl shai hai kamar bhī hasīna-e-ġham kī
jilau meñ le ke ka.ī inqalāb TūTtī hai
Top Urdushayar.com