dilā ye mai-kada-e-ishq hai sharāb tū pī
sharāb agar nahīñ ḳhūn-e-dil-e-ḳharāb tū pī
bahe jo dhaar dam-e-teġh se na jā pyāsā
sabīl-e-nazr-e-shahīdāñ yahī hai aab tū pī
ba-rañg-e-shabnam-e-gul dāġh-e-ishq se dil par
jo gul na khaa.e to be-ḳhud na ho gulāb tū pī
na āftāb-e-qayāmat se Dar mai-e-gul-rañg
kare chaman meñ agar sair māhtāb tū pī
valā ye jām-e-mai-e-nāb barq-o-bārāñ meñ
jo jām-e-jam se hai maanā ba-āb-o-tāb tū pī
sharāb jauhar-e-ātish hai aql hai sīmāb
ye le uḌe hai agar us kī laa.e taab tū pī
rasīd-e-qatra ba-dariyā hai mai se bhar bhar ke
surāhī-e-guhar-o-kāsa-e-habāb tū pī
naqāb muñh se uThā āftāb abr meñ hai
miyāñ piyāla jo piinā hai be-hijāb tū pī
hai abr-e-sāya-e-rahmat gunāhgāroñ par
piyāla ho.e agar rash.ha-e-sahāb tū pī
jigar jale to na girne de aañkh se aañsū
ba-az-sharāb ye ḳhūñ-nāba-e-kabāb tū pī
rahegā mast tah-e-ḳhāk daur-e-mahshar tak
'muhib' man-e-mai-e-ishq-e-abū-turāb tū pī