har shaḳhs apne aap meñ sahmā huā sā hai
dekho to shahar socho to vīrāniyāñ bahut
leTā huā pañgoḌe meñ taktā hai āsmāñ
likkhī huī haiñ āñkhoñ meñ hairāniyāñ bahut
zā.īd-gān-e-shab ko gavārā nahīñ sahar
Dastī haiñ un ko sub.h kī tābāniyāñ bahut
deñ kaise us kā haath zamāne ke haath meñ
ab tak to kī haiñ us kī nigahbāniyāñ bahut
pal-bhar ḳhushī bhī ham ne ġhanīmat shumār kī
rahtī haiñ yuuñ bhī dil ko pareshāniyāñ bahut
kin pattharoñ se ham ne tarāshe haiñ roz-o-shab
kaam aa ga.iiñ hamārī garāñ-jāniyāñ bahut