saañs lene ke liye taaza havā bhejī hai
zindagī ke liye ma.asūm duā bhejī hai
maiñ ne bhejī thī gulāboñ kī bashārat us ko
tohfatan us ne bhī ḳhushbu-e-vafā bhejī hai
maiñ to qātil thā barī ho ke bhī qātil hī rahā
mujh ko insāf ne jiine kī sazā bhejī hai
kitne ġham haiñ jo sar-e-shām sulag uThte haiñ
chāra-gar tū ne ye kis dukh kī davā bhejī hai
marhale aur bhī the jaañ se guzarne ke liye
karbalā kis ne pas-e-karb-o-balā bhejī hai