suukh jaatā hai har shajar mujh meñ
kuchh duā.eñ haiñ be-asar mujh meñ
jāntā hī nahīñ huuñ maiñ us ko
vo jo aane lagā nazar mujh meñ
dhuup meñ dekh kar parindoñ ko
ugne lagtā hai ik shajar mujh meñ
paañv ab pūchhne lage mujh se
maiñ safar meñ huuñ yā safar mujh meñ
aa.ina dekh kar lagā mujh ko
maiñ nazar meñ huuñ yā nazar mujh meñ
dard meñ Duub hī ga.ī āvāz
hijr ne ab kiyā asar mujh meñ