zaḳhm thoḌī sī ḳhushī de ke chale jaate haiñ
ḳhushk āñkhoñ ko namī de ke chale jaate haiñ
roz aate haiñ ujāle mire andhe ghar meñ
roz ik tīra-shabī de ke chale jaate haiñ
in kirā.e ke gharoñ se to maiñ be-ghar achchhā
nit-na.ī dar-badrī de chale jaate haiñ
zā.iqa muddatoñ rahtā hai mire hoñToñ par
vo zarā sī jo hañsī de ke chale jaate haiñ
shab-gizārī ke liye raushnī māñgūñ jin se
vo charāġh-e-saharī de ke chale jaate haiñ
iḳhtilāfāt usī mausam-e-gul se haiñ jo 'shād'
ḳhār-baḳhtoñ ko kalī de ke chale jaate haiñ