DhūñD letī haiñ koī mahtāb sā manzar kahīñ
jāgtī rahtī haiñ āñkheñ ḳhvāb ke andar kahīñ
Daal lete haiñ bhalā zanjīr-e-ishrat paañv meñ
taan kar chalte haiñ sar par dard kī chādar kahīñ
is ḳhayāl-e-nāz meñ hotā hai shab bhar jāgnā
ek kaif-e-hijr meñ hogā mirā bistar kahīñ
dil ke andar chupke chupke jāgtī hai be-kalī
shor kartī haiñ havā.eñ jism ke bāhar kahīñ
aañkh meñ bedāriyoñ kī dhuul girtī jā.egī
āsmāñ sar par uThā.eñge mah-o-aḳhtar kahīñ
har sadā-e-naġhma hai āvāza-e-mahshar mujhe
dil laraztā hai badal jaa.e na ye manzar kahīñ