Mohammad Khalid

khul gaya na ho kisi aur taraf bab mera

Mohammad Khalid

Sialkot, Punjab, Pakistan

1950
khul gayā na ho kisī aur taraf baab mirā
kahīñ āvāra-e-ġhurbat hī na ho ḳhvāb mirā
ḳhitta-e-ḳhāk meñ kuchh ḳhaak pe tohmat merī
sar-e-aflāk koī ḳhema-e-māhtāb mirā
dil-e-āvāra kahīñ chashm kahīñ ḳhvāb kahīñ
kaisā bikhrā dar-e-āfāq pe asbāb mirā
ḳhvāhish-e-jāñ bhī laraz jaatī hai har ashk ke saath
merī miTTī ko bhī le jaa.e na sailāb mirā
dil kahāñ aur kahāñ shorish-e-paiham dil kī
kis tamannā meñ ravāñ hai tan-e-betāb mirā
Top Urdushayar.com