Mohammad Khalid

kuchh kar-e-anasir tah-e-dariya bhi ajab hai

Mohammad Khalid

Sialkot, Punjab, Pakistan

1950
kuchh kār-e-anāsir tah-e-dariyā bhī ajab hai
is ḳhaak meñ pinhāñ koī sho.ala bhī ajab hai
duniyā se kuchh aisā bhī nahīñ rabt hamārā
sunte haiñ magar lazzat-e-duniyā bhī ajab hai
hai dil hī kisī ārzū-e-vasl kā maskan
dil kā magar is raah pe aanā bhī ajab hai
vo diid hai ab ālam-e-maujūd se aage
is sā.at-e-mas.ūd kā dhokā bhī ajab hai
tai hotī chalī jaatī hai be-faiz masāfat
is raah meñ dīvār kā aanā bhī ajab hai
khiltā nazar aatā hī nahīñ hai gul-e-umīd
jaatā hī nahīñ dil se ye dhaḌkā bhī ajab hai
is ziist pe sahrā kā gumāñ tak nahīñ hotā
ai naḳhl-e-mohabbat tirā saaya bhī ajab hai
Top Urdushayar.com