varā-e-lutf koī ibtilā nikalnā thā
ye silsila bhī bahut duur jā nikalnā thā
abhī qubūl na thiiñ ye ināyateñ ham ko
abhī diloñ se ġham-e-mudda.ā nikalnā thā
sivā.e ḳhastagī kuchh pesh-e-kāsa-e-zar-ḳhvāh
hamāre kīsa-e-ḳhālī se kyā nikalnā thā
safar to ek sitāra-ġhamīñ thā varna hameñ
kisī savād-e-masarrat meñ jā nikalnā thā
ajiib manzil-e-bechārgī thī manzil-e-jāñ
yahīñ se jāda-e-bīm-o-rajā nikalnā thā
jabīñ pe naqsh-e-ḳhudā.ī ubharte jaate the
diloñ se yuuñ to na ḳhauf-e-ḳhudā nikalnā thā