Mohammad Khalid

phir koi KHwab tere rangon se juda nahin dekha

Mohammad Khalid

Sialkot, Punjab, Pakistan

1950
phir koī ḳhvāb tire rañgoñ se judā nahīñ dekhā
kyā kuchh dekh liyā thā ham ne kyā nahīñ dekhā
avval-e-ishq kī saa.at jā kar phir nahīñ aa.ī
phir koī mausam pahle mausam sā nahīñ dekhā
sab ne dekhā thā tirā ham ko ruḳhsat karnā
ham ne jo manzar dekhne vaalā thā nahīñ dekhā
be-kal be-kal rahnā diid kā phal to nahīñ hai
dekhne vaalī aañkh ne jaane kyā nahīñ dekhā
ham jise parda-e-ḳhvāb meñ rah kar dekh rahe haiñ
jāgne vaalo tum ne bhī dekhā yā nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com