Mohammad Khalid

ye paimana sharab-e-tez se bharne nahin deti

Mohammad Khalid

Sialkot, Punjab, Pakistan

1950
ye paimāna sharāb-e-tez se bharne nahīñ detī
koī shai zindagī meñ hai vahī marne nahīñ detī
ajab kuchh mutma.in rakhtī hai ham ko bekalī dil kī
havā-e-hijr kī yūrish se bhī Darne nahīñ detī
havā-e-barshgāl āḳhir ḳhush aatī hai hameñ lekin
jo ham ne kaam karnā hai vahī karne nahīñ detī
bhaḌaktī hai junūñ kī aag agar koh-o-bayābāñ meñ
koī tohmat havā-e-shahr pe dharne nahīñ detī
liye jaatī hai naḳhl-e-ārzū tak zindagī 'ḳhālid'
magar dāman atā-e-naḳhl se bharne nahīñ detī
Top Urdushayar.com