Mohammad Khalid

hai safar mein karwan-e-bahr-o-bar kis ke liye

Mohammad Khalid

Sialkot, Punjab, Pakistan

1950
hai safar meñ kārvān-e-bahr-o-bar kis ke liye
ho rahā hai ehtimām-e-ḳhushk-o-tar kis ke liye
kis kī ḳhātir zā.iqoñ kī saḳhtiyoñ meñ haiñ samar
aur jhuk jaatī hai shāḳh-e-bārvar kis ke liye
kis kī ḳhātir haiñ badalte mausamoñ kī bārisheñ
dil ġhamīñ kis ke liye hai chashm tar kis ke liye
rat-jagoñ meñ gūñjne vaalī sadā.eñ kis kī haiñ
hai hunar kis ke liye arz-e-hunar kis ke liye
kis ne zaḳhm-e-nā-rasī se bhar diye haiñ rāste
chārasāzī kis liye hai chārāgar kis ke liye
lā-makāñ meñ kaun rahtā hai makāñ meñ kyā nahīñ
dasht haiñ kis ke liye dīvār-o-dar kis ke liye
kis ne rakkhī haiñ har ik manzar meñ rañgīñ sā.ateñ
ḳhalq farmā.e ga.e haiñ be-basar kis ke liye
kaun suntā hai havāoñ kī ajab sargoshiyāñ
aur jaatī haiñ havā.eñ dar-ba-dar kis ke liye
Top Urdushayar.com