Mohammad Khalid

ishq mein ab ke hamein jaan se guzarna bhi to hai

Mohammad Khalid

Sialkot, Punjab, Pakistan

1950
ishq meñ ab ke hameñ jaañ se guzarnā bhī to hai
kaam hone kā nahīñ kaam ye karnā bhī to hai
aur phir sāmne hai ḳhāk-nashīnoñ kā jahāñ
ye qadam ham ne kisī ḳhaak pe dharnā bhī to hai
aur ik kaam nikal aatā hai har kaam ke beach
hameñ jiinā hī nahīñ hai hameñ marnā bhī to hai
shahr meñ aur bhī hogā koī ḳhush-ḳhū tujh sā
āḳhir-e-kār tere zaḳhmoñ ne bharnā bhī to hai
ham se be-māya hī taqdīr haiñ is aalam kī
ḳhaak ne chehra-e-daurāñ pe bikharnā bhī to hai
nahīñ aisā bhī jarī koī magar is dil ne
kisī andesha-e-be-nām se Darnā bhī to hai
jab ye tai hai ki nahīñ lauT ke aanā ham ko
Dūbnā hai to kahīñ paar utarnā bhī to hai
Top Urdushayar.com