kab sar-e-dosh-e-havā ḳhaak faqat merī hai
ab to ye manzil-e-ġhamnāk faqat merī hai
āsmānoñ se udhar kaun sambhāle koī naqsh
ye zamīñ kahtī hai poshāk faqat merī hai
baiThtā jaatā hai ā.ina-e-hastī pe ġhubār
is ḳharābe meñ yahī ḳhaak faqat merī hai
Dūbte aur ubharte haiñ sitāre shab bhar
aur ye sūrat tah-e-aflāk faqat merī hai
baḳht-e-kūza kā fasāna koī āġhāz karo
ab jo miTTī hai sar-e-chāk faqat merī hai