Mohammad Khalid

pas-e-nazzara koi lahr si thi pani tak

Mohammad Khalid

Sialkot, Punjab, Pakistan

1950
pas-e-nazzāra koī lahr sī thī paanī tak
kyā tamāshā thā na thī aañkh meñ hairānī tak
safar itnā thā kaThin lauT bil-āḳhir aa.e
baḌī mushkil se chale rāh-e-tan-āsānī tak
dhajjiyāñ jism se utrī haiñ abhī ḳhair manāo
tan se utregā yahāñ jāma-e-uryānī tak
kisī anjān chamak ke haiñ dil-o-chashm asiir
silsila ek sā hai aa.ine se paanī tak
sar-o-sāmāñ koī us raah se kyūñkar le jaa.e
chhoḌ aa.e haiñ jahāñ be-sar-o-sāmānī tak
aur phir itnā chale paañv meñ tāqat na rahī
do qadam the mirī dānā.ī se nādānī tak
Top Urdushayar.com