zamīñ kī had agar koī nahīñ hai
to phir merā bhī ghar koī nahīñ hai
qafas meñ band hai parvāz merī
umīd-e-bāl-o-par koī nahīñ hai
hunar un ko sikhātā phir rahā huuñ
magar ḳhud meñ hunar koī nahīñ hai
ḳhabar aḳhbār meñ aa.e na aa.e
ḳhabar se be-ḳhabar koī nahīñ hai
yahāñ to bas paḌāv hai hamārā
hamārā apnā ghar koī nahīñ hai
ye shahr-e-ārzū hai 'ġhaus' aisā
jahāñ hadd-e-nazar koī nahīñ hai