qalb-o-nazar ke silsile merī nigāh meñ rahe
mujh se qarīb-tar na the jo tirī chaah meñ rahe
qahr-e-ḳhudā kī zad pe kyuuñ aa na sake siyāhkār
kis kī supurdagī meñ the kis kī panāh meñ rahe
sūrat-e-hāl dekh kar sab ko hai fikr ye ki ab
jism amaañ meñ ho na ho kaj to kulāh meñ rahe
dār-o-rasan ke faisle sach ke amiin hoñ agar
thoḌī sī jur.at-e-suḳhan harf-e-gavāh meñ rahe
koī sabab to thā ki 'ġhaus' fahm-o-zakā ke bāvajūd
kār-e-savāb chhoḌ kar kār-e-gunāh meñ rahe