ḳharāba aur hotā hai ḳharāb āhista āhista
dayār-e-dil pe aate haiñ azaab āhista āhista
savāl-e-vahshat-e-jāñ ke javāb āhista āhista
but-e-kāfir uThāte haiñ naqāb āhista āhista
koī dast-e-hinā.ī mū-qalam se bhartā jaatā hai
nigār-e-shām meñ rañg-e-sharāb āhista āhista
bagūla ibtidā-e-shauq meñ mahmil dikhā.ī de
nazar aate haiñ sahrā meñ sarāb āhista āhista
bahut bosīda yādoñ ke varaq jhaḌne bhī lagte haiñ
palaT umr-e-guzishta kī kitāb āhista āhista
surāġh-e-naqsh-e-pā miTte chale jaate haiñ sahrā meñ
ubhartā hai safar meñ iztirāb āhista āhista
kamāl-e-shauq-e-nazzāra meñ uryāñ hotā jaatā hai
sar-e-bām-e-falak vo māhtāb āhista āhista
kabhī ḳhushbū kabhī naġhma kabhī rañgīn pairāhan
'nadīm' ugtī hai yuuñ hī fasl-e-ḳhvāb āhista āhista