vahī sar hai vahī saudā vahī vahshat hai miyāñ
ab bhī aa jaao ki dil kī vahī ḳhalvat hai miyāñ
vus.at-e-dīd simaTne hī nahīñ paatī hai
chashm-e-āhū se hameñ aaj bhī nisbat hai miyāñ
umr jab hijr-e-musalsal kī masāfat meñ kaTī
ye bhī kaT jā.egī ik din shab-e-furqat hai miyāñ
kū-e-dildār meñ baaqī nahīñ shorīda-sarāñ
shahr daryūza-gar-e-kūcha-e-shohrat hai miyāñ
kyuuñ na ham mauja-e-hairat se lipaT kar soveñ
vasl ab tere liye bhī to mashaqqat hai miyāñ
tum ne kyā dekhe nahīñ shams-o-qamar nezoñ par
jashn-e-zulmāt pe ab kaun sī hairat hai miyāñ
farq-e-tābāñ hai tirā matl.a-e-ḳhurshīd magar
tere kākul meñ chhupī shām-e-qayāmat hai miyāñ
dasht-e-hastī meñ bahut ābla-pā.ī hai 'nadīm'
sarhad-e-marg-e-musalsal to aziyyat hai miyāñ