aur manzar haiñ bahut chashm-e-ḳharīdār meñ ab
ḳhvāb bikte hī nahīñ shahr ke bāzār meñ ab
shaam gul hotī chalī jaatī hai rafta rafta
sham-e-gul jaltī nahīñ gulshan-e-dīdār meñ ab
vā.iz-e-shahr nahīñ shahr-e-sitamgar bhī tamām
naqd-e-jāñ māñgte haiñ jur.at-e-inkār meñ ab
habs-e-jāñ hai ki umaDtā hī chalā aatā hai
bārish-e-mai bhī chalī jaatī hai be-kār meñ ab
shaiḳh-sāhab kabhī sīdhe to nahīñ the lekin
pech-dar-pech haiñ in jubba-o-dastār meñ ab