nazar tak aayā hai pahchān tak nahīñ aayā
ye vāhima abhī imkān tak nahīñ aayā
jarāhat-e-ġham-e-daurāñ kī ibtidā kahiye
dil-e-jahāñ-zada paikān tak nahīñ aayā
vo aur baat ki jaañ kī amaan māñgī thī
maiñ us kī bai.at-o-paikāñ tak nahīñ aayā
bas us ke lams kā ilhām hī utartā hai
vo mere mus.haf-e-vijdān tak nahīñ aayā
ye zindagī to nafī meñ guzār dī maiñ ne
par us ke halqa-e-mīzān tak nahīñ aayā
kitāb-e-husn kī ta.abīr ḳhair kyā kartā
'nadīm' aa.ina unvān tak nahīñ aayā