phir chhalaktā hai jaam vahshat kā
shāh-e-ḳhūbāñ salām vahshat kā
ek chashm-e-ġhazāl kartī hai
chār-sū ehtimām vahshat kā
vo girāñ-gosh ho hama-tan-gosh
to sunā.ūñ kalām vahshat kā
chaak hai ab tirā garebāñ bhī
dekh le intiqām vahshat kā
mauj-e-hairat safar meñ rakhtī hai
DhūñDhtā huuñ qayām vahshat kā
aaj to bāġhbāñ ne gulshan meñ
ik bichhāyā hai daam vahshat kā
ik taraf mauja-e-sukūñ hai 'nadīm'
ik jānib ḳhirām vahshat kā