raat ko pahlū meñ ik tasvīr raushan ho ga.ī
ḳhvāb to dekhā nahīñ ta.abīr raushan ho ga.ī
us but-e-kāfir ko jo dekhā bahut nazdīk se
naqsh-gar kī shoḳhi-e-tahrīr raushan ho ga.ī
dasht-e-vahshat meñ ġhubār-e-nāqa-e-lailā to hai
hasrat ai pā-e-junūñ zanjīr raushan ho ga.ī
zaḳhm-e-naumīdī charāġhāñ kar rahe haiñ ziist meñ
daaġh kyā raushan hue taqdīr raushan ho ga.ī
us kī āñkhoñ meñ umaD aayā sitāroñ kā hujūm
gul-kade meñ shauq kī tanvīr raushan ho ga.ī
ārzūeñ sab shikasta ḳhvāb saare munhadim
mere ghar meñ raunaq-e-ta.amīr raushan ho ga.ī
sāz-e-dil-dārī pe naġhma-zan huī shām-e-visāl
mauj-e-gul kī ḳhūbī-e-taqrīr raushan ho ga.ī
raqs farmāne lage sab ranj-o-ġham soz-o-alam
sham-e-mīnā jal uThī tāsīr raushan ho ga.ī
umr-e-zindāñ meñ guzārī par 'nadīm' itnā to hai
mash.al-e-ḳhurshīd se zanjīr raushan ho ga.ī