kisī vahshat meñ phir ābād honā chāhtā huuñ
maiñ us kī qaid se āzād honā chāhtā huuñ
purānī shakl sūrat gar malāmat ban ga.ī hai
na.ī miTTī se phir ījād honā chāhtā huuñ
kisī ke hijr meñ hairat-kade ābād dekhūñ
kisī ke vasl meñ barbād honā chāhtā huuñ
use bhī apnī bāñhoñ meñ taḌaptā dekhnā hai
maiñ us kā said thā sayyād honā chāhtā huuñ
usī ḳhushbū se phir ham-ḳhvāb hone kī havas hai
usī ḳhush-vasl se dil-shād honā chāhtā huuñ
ab apnī zaat ke zindāñ meñ bhī dam ghuT rahā hai
koī dam ḳhud se bhī āzād honā chāhtā huuñ