Chand Akbarabadi

bazar tere shahr ke badnam bahut hain

Chand Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1975
bāzār tire shahr ke badnām bahut haiñ
chhoTī sī ḳhushī ke bhī yahāñ daam bahut haiñ
maiñ kaise chalūñ hausle kā haath pakaḌ kar
is zindagī meñ gardish-e-ayyām bahut haiñ
hoñToñ se baġhāvat kī sadā kaise ho jaarī
vaa.iz ko hukūmat se abhī kaam bahut haiñ
is daur meñ ummīd karūñ adl kī kaise
munsif pe hī jab qatl ke ilzām bahut haiñ
āġhosh meñ aur vaqt ke baaqī haiñ suḳhnavar
'ġhālib' bhī ka.ī 'mīr' bhī 'ḳhayyām' bahut haiñ
ye shahr bhī mahfūz nahīñ qahr-e-ḳhudā se
saaqī bhī haiñ mai-ḳhāne bhī haiñ jaam bahut haiñ
vo zaat hai vāhid vo hī ḳhāliq vo hī rāziq
maḳhlūq ne par us ko diye naam bahut haiñ
imdād-o-ibādat meñ riyā-kārī na ho 'chāñd'
iḳhlās-e-amal par vahāñ in.aam bahut haiñ
Top Urdushayar.com