Chand Akbarabadi

kabhi gunahon ki mutlaq kafan utar ke aa

Chand Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1975
kabhī gunāhoñ kī mutlaq kafan utaar ke aa
tū ujlī ruuh se mailā badan utaar ke aa
jo mere vasl kā ehsās tujh pe taarī hai
kisī ke lams kī saarī chhuvan utaar ke aa
na.ī hayāt ke kapḌe liye hai maut khaḌī
purānā zindagī kā pairahan utaar ke aa
nazar meñ sharm hayā kā bhī paas baaqī rahe
nazar kī shoḳhiyoñ ko gul-badan utaar ke aa
na.ī bahār ne paiġhām ye havā ko diyā
guloñ ke tan se ḳhizāñ kā kafan utaar ke aa
hamesha uḌte haiñ taa.ir tire tasavvur ke
kabhī to zehn se fikr-e-suḳhan utaar ke aa
Top Urdushayar.com