tabīb ho ke bhī dil kī davā nahīñ karte
ham apne zaḳhmoñ se koī daġhā nahīñ karte
parinde uḌne lage haiñ ġhurūr ke tere
havā meñ kāġhzī par se uḌā nahīñ karte
nakel Dālnī hai nafs ke irādoñ par
binā lagām ke ghoḌe thamā nahīñ karte
duā ko haath uThāte nahīñ har ik ke liye
to ye bhī sach hai ki ham bad-duā nahīñ karte
ye surḳh āñdhiyāñ kyā 'chāñd' kā bigāḌeñgī
buland peḌ havā se girā nahīñ karte