Chand Akbarabadi

na puchh humse hamari uDan chhoD na yar

Chand Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1975
na pūchh ham se hamārī uḌaan chhoḌ na yaar
baḌī tavīl hai ye dāstān chhoḌ na yaar
nikal paḌe jo safar meñ to sochnā kaisā
kahāñ hai dhuup kahāñ sā.ebān chhoḌ na yaar
dabī hai aag jo dil meñ use kuredo mat
yahīñ kahīñ thā hamārā makān chhoḌ na yaar
ye soch ham ko pahuñchnā hai apnī manzil tak
na gin kisī ke qadam ke nishān chhoḌ na yaar
ḳhushī thī muul to ġham thā byaaj ke jaisā
tamām umr bharā hai lagān chhoḌ na yaar
huā hai zindagī bhar kī jugāḌ roTī kā
bikī hai qistoñ meñ apnī dukān chhoḌ na yaar
libās sunnatī hai ummatī mohammadī huuñ
na pūchh ab ye nasab ḳhāndān chhoḌ na yaar
ye sab bulandiyāñ allāh ke liye haiñ 'chāñd'
maqām martaba rutba ye shaan chhoḌ na yaar
Top Urdushayar.com