ik havā aisī chalī bagule bhī kaale ho ga.e
chāñd ko sardī lagī sūraj ko chhāle ho ga.e
maz.habī ātish ne bachpan kī jalā dī dostī
ham bhī ka.aba ban ga.e tum bhī shivāle ho ga.e
hausla chhūne kā thā bachpan meñ tujh ko āsmāñ
barsoñ terī samt ik patthar uchhāle ho ga.e
hijr kī daulat ne mālā-māl mujh ko kar diyā
baal chāñdī ke hue sone ke chhāle ho ga.e
aire-ġhaire natthū-ḳhaire paḌh rahe haiñ chehre ab
chehre chehre na hue goyā risāle ho ga.e
daaġh sūraj kī hukūmat par bhī kuchh to lag gayā
kuchh ujāle jab añdheroñ ke nivāle ho ga.e
ā.inoñ par pattharoñ ke qatl kā ilzām kyuuñ
aa.ine ā.īne na hoñ jaise bhāle ho ga.e
dekh lete tum bhī apne is zamīñ ke 'chāñd' ko
itnī jaldī āsmāñ ke kyuuñ havāle ho ga.e