ye tasavvur kā vaar jhūTā hai
ḳhvāb jhūTe haiñ saar jhūTā hai
phuul tum toḌ laa.e shāḳhoñ se
kyā bahāroñ se pyaar jhūTā hai
āñkhoñ meñ kuchh zabān par kuchh hai
terā kirdār yaar jhūTā hai
saarī gustāḳhiyāñ rahīñ qaa.em
us pe rutba vaqār jhūTā hai
lāpata huuñ maiñ ghar nahīñ koī
chiTThī jhūTī hai taar jhūTā hai
maut se tez dauḌ kis kī hai
umr par shahsavār jhūTā hai
dhuup ke shuul bikhre haiñ har suuñ
chāñdnī kā ḳhumār jhūTā hai
āñkhoñ meñ rakh hunar takallum kā
lafzoñ par e'tibār jhūTā hai
bār-e-ḳhātir hai ham ko fikr-e-zīst
hasratoñ kā mazār jhūTā hai
TūTnā aa.ine kī fitrat hai
pattharoñ se qarār jhūTā hai
'chāñd' kab tak karoge dil kā yaqīñ
aap kā intizār jhūTā hai